स्वस्थ रहने के लिए कुछ ख़ास सुझाव

Written by Oye Zindagi Team

Published on:

कहते हैं कि स्वस्थ तन का प्रभाव सीधे हमारे मन पर पड़ता है इसलिए अच्छी दिनचर्या के लिए अच्छा स्वास्थ बहुत जरूरी है। आज हम आपको बताएँगे कुछ ऐसे सुझावों के बारे में जिन्हें अपनाने पर आप भी एक सेहतभरी ज़िन्दगी का लुत्फ़ आसानी से उठा पाएंगे। 

तो आइये जानते हैं ये स्वास्थ सुझाव

Healthy Tips in Hindi

  1. शरीर में 90 प्रतिशत बीमारियाँ केवल पेट से होती हैं। इसलिए कभी भी पेट में कब्ज ना पनपने दें वर्ना शरीर में रोग भरपूर मात्रा में पनपते रहेंगे।
  2. मांसाहार की वजह से 160 प्रकार के रोग होते हैं।
  3. 103 प्रकार की बीमारियाँ भोजन करने के तुरंत बाद पानी पीने की वजह से होती हैं, इसलिए खाना खाने के कम से कम डेढ़ घंटे के पश्चात ही पानी पीयें।
  4. चाय के सेवन से कई प्रकार के रोग होते हैं।
  5. मदिरा एवं कोल्ड ड्रिंक पीने से हृदय रोग होता है।
  6. ठन्डे पानी (फ्रिज) के सेवन से बड़ी अंत सिकुड़ती है।
  7. अंडे का सेवन दिल की बीमारी, पथरी एवं गुर्दा खराब करता है।
  8. भोजन करने के तुरंत बाद नहाने से पाचनशक्ति कमजोर होती है एवं शरीर भी कमजोर होता है।
  9. भोजन बनने के 48 मिनट के भीतर खा लेना चाहिए क्योंकि इसके बाद इसकी पोषकता घटने लगती है। 12 घंटे के बाद तो यह जानवरों के खाने के लायक भी नहीं बचता।
  10. खड़े होकर पानी कभी भी ना पीयें। इससे घुटनों में दर्द जैसी परेशानी पैदा होती है।
  11. खड़े होकर मूत्र त्याग करने पर रीढ़ की हड्डी कमजोर होती है।
  12. खाना पकाने के बाद उसमे नमक डालने पर रक्तचाप बढ़ता है।
  13. मुँह से सांस लेने पर जीवनावधि (आयु) कम होती है।
  14. तुलसी के सेवन से मलेरिया नहीं होता।
  15. रोजाना मूली का सेवन करने पर कई तरह की बिमारियों से बचाव होता है।
  16. 48 प्रकार की बीमारियाँ केवल एल्युमीनियम के बर्तन अथवा प्रेशर कुकर में पके भोजन को खाने से होती हैं।
  17. नींबू का सेवन गंदे पानी से होने वाले रोग जैसे यकृत, टाइफाइड, दस्त, पेट के अन्य रोग, हैजा आदि से बचाव करता है।
  18. पानी हमेशा ताजा पीना चाहिए।
  19. 14 साल से कम उम्र के बच्चों को मैदे से बनी वस्तुए नहीं खिलानी चाहिए।
  20. अगर आप कफ़ से परेशान है तो मुलहठी चूसिये, इससे कफ़ बाहर निकलता है और साथ ही साथ आवाज भी अच्छी होती है।
  21. सफ़ेद चीनी का इस्तेमाल शरीर के लिए बेहद हानिकारक होता है, इसके स्थान पर मिश्री, गुड़, शहद अथवा देशी (कच्ची) चीनी का इस्तेमाल करें।
  22. दांत मांजने के लिए टूथपेस्ट एवं ब्रश की बजाय दातुन एवं मंजन कीजिये, इससे दांत स्वस्थ एवं मजबूत होते हैं। ध्यान दें नेत्र रोग होने पर दातुन का प्रयोग ना करें।
  23. सुबह का नाश्ता एक राजा की तरह भरपेट करें, दोपहर का भोजन एक गरीब की तरह (थोडा कम) तथा रात में भोजन एक भिखारी की तरह (बेहद कम) करना चाहिए, इससे पेट के कई प्रकार के रोगों से मुक्ति मिलती है।
  24. रात्री में देर तक जागने की वजह से शरीर की प्रतिरोधक क्षमता क्षीण होती है साथ ही साथ भोजन भी ठीक तरह से नहीं पच पाता। इसके अलावा नेत्र सम्बंधित रोग भी होते हैं।
  25. खाने में सेंधा नमक सर्वोत्तम है, अगर ये उपलब्ध नहीं है तो इसके स्थान पर काला नमक का इस्तेमाल कर सकते हैं। सफ़ेद नमक खाने में बेहद खतरनाक होता है।
  26. भोजन मिट्टी के बर्तन में पकाने पर इसकी पोषकता 100%, कांसे के बर्तन में पकाने पर 97%, पीतल के बर्तन में पकाने पर 93%, एल्युमीनियम के बर्तन तथा प्रेशर कुकर में पकाने पर ना के बराबर ही बचती है।
  27. स्वस्थ रहने के लिए अच्छी नींद एवं अच्छा (ताजा) खाना बेहद जरूरी है।
  28. जोर लगाकर छींकने पर कानो को नुक्सान पंहुचता है।
  29. दिल के रोगी के लिए लौकी (घीये) का जूस, तुलसी, अर्जुन की छाल, पुदीना, मौसमी, इत्यादि का सेवन औषधी है।

ये भी पढ़े: क्या आप जानते हैं? पानी पीने के फायदे

Swasth Rehne Ke Liye Kuchh Khaas Sujhaav

Kehte hain ki swasth tan ka prabhaav seedhe hamare mann par padta hai isliye achchhi dincharya ke liye achchha swaasth bahut jaroori hai. Aaj hum aapko batayenge kuchh aise sujhaavon ke baare mein jinhe apnaane par aap bhi ek sehatbhari zindagi ka lutf aasani se uthaa payenge.

To aaiye jaante hain ye swaasth sujhaav :-

  1. Shareer mein 90 pratishat bimariya keval pet se hoti hain. Isliye kabhi bhi pet mein kabj na panapne dein varna shareer emin rog bharpoor matra mein panapte rahenge.
  2. Masahaar ki vajah se 160 prakaar ke rog hote hain.
  3. 103 prakaar ki bimariyan bhojan karne ke turant baad paani peene ke vajah se hoti hain, isliye khana khaane ke kam se kam ded ghante ke pashchaat hi paani peeyein.
  4. Chaai ke sewan se kai prakaar ke rog hote hain.
  5. Madira evm cold drink peene se hridya rog hota hai.
  6. Thande paani (fridge) ke sewan se badi aant sikudti hai.
  7. Ande ka sewan dil ki bimari, pathri evm gurda kharaab karta hai.
  8. Bhojan karne ke turant baad nahaane se pachanshakti kamjor hoti hai evm shareer bhi kamjor hota hai.
  9. Bhojan banne ke 48 minute ke bheetar khaa lena chahiye kyonki iske pashchaat iski poshakta ghatne lagti hai. 12 ghante ke baad to yeh jaanvaro ke khaane ke laayak bhi nahi bachta.
  10. Khade hokar paani kabhi bhi naa peeyein. Isse ghutne mein dard jaisi pareshaani paida hoti hai.
  11. Khade hokar mutra tyaag karne par reedh ki haddi kamjor hoti hai.
  12. Khaana pakaane ke baad usme namak daalne par raktchaap badhta hai.
  13. Munh se saans lene par jeevnavadhi (aayu) kam hoti hai.
  14. Tulsi ke sewan malaria nahi hota.
  15. Rojana mooli ka sewan karne par kai tarah ki bimariyo se bachaav hota hai.
  16. 48 prakaar ki bimariya keval aluminium ke barna athva pressure cooker mein pake bhojan ko khaane se hoti hai.
  17. Neembu ka sewan gande paani se hone wale rog jaise yakrat, typhoid, dast, pet ke anya rog, haija aadi se bachaav karta hai.
  18. Paani hamesha taaja hi peena chahiye.
  19. 14 saal se kam umar ke bachchon ko maide se bani vastuye nahi khilani chahiye.
  20. Agar aap cough se pareshaan hai to mulhathi choosiye, isse cough baahar nikalta hai aur sath hi sath aawaj bhi achchi hoti hai.
  21. Safed chini ka istemaal shareer ke liye behad hanikaarak hota hai, iske sthaan par mishri, gud, shehad athva deshi (kachchi) cheeni ka istemaal karein.
  22. Daant maanjne ke liye toothpaste evm brush ki bajaay daatun evm manjan kijiye, isse daant swasth evm majboot hote hain. Dhyaan de netra rog hone par daatun ka prayog naa karein.
  23. Subah ka nashta ek raaja ki tarah bharpet karein, dopahar ka bhojan ek gareeb ki tarah (thoda kam) tatha raat mein bhojan ek bhikhari ki tarah (behad kam) karna chahiye, isse pet ke kai prakar ke rogon se mukti milti hai.
  24. Raatri mein der tak jaagne ki vajah se shareer ki pratirodhak kshamta ksheen hoti hai sath hi sath bhojan bhi theek tarah se nahi pach paata. Iske alawa netra sambandhit rog bhi hote hain.
  25. Khaane mein sendha namak sarvottam hai, agar ye uplabdh nahi hai to iske sthan par kaala namak istemaal kar sakte hain. Safed namak khane mein behad khatarnaak hota hai.
  26. Bhojan mitti ke bartan mein pakaane par iski poshkata 100%, kaanse ke bartan mein pakaane par 97%, peetal ke bartan mein pakane par 93%, aluminium ke bartan tatha pressure cooker mein pakaane par naa ke baraabar hi bachta hai.
  27. Swasth rehne ke liye achchhi neend evm achchha (taaja) khana behad jaroori hai.
  28. Jor lagaakar chhenkne par kaano ko nuksaan pahuchta hai.
  29. Dil ke rogiyo ke liye lauki (gheeya) ka juice, tulsi, arjun ki chhaal, pudina, mausami ityadi ka sewan aushadhee samaan hai.

2 thoughts on “स्वस्थ रहने के लिए कुछ ख़ास सुझाव”

  1. Hi Neat post Theres an issue together with your web site in internet explorer may test this IE still is the marketplace chief and a good component of people will pass over your fantastic writing due to this problem

    Reply

Leave a Comment